Haram Maal aur Sood Se Hifazat Ki Dua
Islam mein haram ki kamayi ya maal ko khana aur istemal mein lane ki sakht manayi hai. Sood lena aur dena dono jurm hai isliye har insaan ko apni zindagi mein is cheez se parhez karna bahot zaroori hai. Agar aapki rozi mein kisi bhi tarah se haram maal ya sood araha hai toh aapki rozi jayaz nahi hogi. Aap par iske liye bahot bada azaab Allah (swt) ki taraf se nazil hoga aur iski maafi nahi hai. Isliye zaroori hai ki aap isko kabhi bhi apne paise mein shamil na hone de. Iske liye aap haram maal aur sood se hifazat ki dua parhe.
Ye haram maal aur sood se hifazat ki dua ko parhne se aapki kamayi mein kabhi bhi haram kamayi shamil nahi hogi aur aapki rozi ta-zindagi halal rahegi. Haram maal aur sood se bachne ki dua parhne se aap ki kamayi mein kabhi kisi tarah ka sood shamil nahi hoga. Allah talah aapki rozi mein isko aane se rokega. Kayi baar aisa hota hai ki karobar mein upar niche hota hai aur is tarah kuch zyadti ya kami se aapke pass haram maal ajata hai. Lekin jab aap haram maal aur sood se bachne ka wazifa parhenge toh Insha Allah aapke kisi bhi mulazim se aisi galti nahi hogi aur aapka kaam humesha haram kamayi se mehfooz rahega.
Haram Maal aur Sood se Bachne Ki Dua
Yaad rahe sood ki kamayi mein kabhi barkat nahi hoti. Aap kisi ke upar paise ka dabao daal kar kabhi khush nahi rahenge, kabhi tarakki nahi karenge. Isliye behtar hai ki agar aapke pass aisa kuch araha ho toh aap usko turant band kare aur aage ke waqt mein isse parhez kare. Jab aap Allah (swt) ke liye haram maal aur sood se bachne ka wazifa parhenge toh Insha Allah, Allah Talah aapko kabhi aise bure haal mein nahi layega aur aapke rizq mein din dugni raat chauguni barkat hogi.
Aap haram maal aur sood se bachne ki dua parhe “Wallahho La Yuhibbu Kulla Kaffarin Aseem”
Haram Maal aur Sood se Hifazat Ka Wazifa
Haram maal aur sood se hifazat ka wazifa aap roz subah kaam pe jaane se pehle parhe. Insha Allah, aapke maal mein kabhi koi najayaz ya haram maal shamil nahi hogi. Quran Pak mein halal rozi pe khaas tawajjo di gayi hai. Agar aapki rozi halal nahi hai toh iske liye bahot bhari azaab hai. Aap khud aur apne gharwalo ko is azaab se bachaye aur is dua ko zaroor parhe.
Agar aap ko abhi bhi shak hai aur aap poora itmenan chahte hai toh aap humare molvi sb. se bhi iske bare mein mashwara le. Wo aapko apni rozi halal karne ka, haram maal se nijat pane ka aur apne rizq ko badhane ka behtar se behtar wazifa batayenge aur Insha Allah, aapki sari pareshani hal ho jayegi. Dheere dheere agar aapki kamayi mein kuch bhi haram shamil hai wo kat jayega aur Insha Allah, dobara kabhi shamil na hoga.
Bilkul fikr na kare aur neik niyat se apna karobar kare, beshak Allah Talah aapki kamayi ko halal karne wala hai aur aapko haram maal se bachane wala hai.