Dushman Ko Door Karne Ki Dua
Is duniya mein insaan ko pareshan karne ke liye Allah (Swt) ne kuch cheezein mukarrar kari hai. Usme se jinn, satan aur dushman awwal ate hai. Agar aapki zindagi mein bhi koi na koi aisa apko pareshan kar raha hai aur aap usse chutkara nahi pa rahe hai toh aap jinnat, satan or dushman ko door karne ki dua parhe. Jab aap ye dua parhenge toh inme se koi bhi apko pareshan nahi kar payega aur aapki zindagi bahot hi sukoon se kat jayegi.
Aksar aapka dushman apse is kadar jalta hai ki aap ko har tarah ki takleef dena chahta hai. Wo aapko tarakki karte hue nahi dekh sakta aur aap ko pareshan karne ke aye din naye tarike dhundta hai. Isliye behtar hai ki aap apne dushman ko khud se door karde. Iske liye aap dushman ko door karne ka wazifa parhe. Is wazifa ko parhne se aapka dushman aapse nafrat karna band kar dega aur khud hi apni zindagi mein masroof ho jayega. Iska tarika aapko yaha pe bataya gaya hai –
Dushman Ko Door Karne Ka Wazifa
- Is amal ke liye aapko paancho waqt ki namaz ki pabandi honi chahiye.
- Aap taza wazu karle har namaz ke liye
- Aur namaz khatam hone ke baad 11 martaba Durood Shareef parhe
- Uske baad 100 martaba “Surah Ikhlas” parhe.
- Aakhir mein 11 martaba Durood Shareef phir se parhe.
- Uske baad apne dushman ka tassavur karke Allah (Swt) se dua kare ki wo aapko nuksan pahuchana band karke aur aapki zindagi se uska koi bhi lena dena na ho.
- In sha Allah, kuch hi roz mein aapko fark dikhega aur wo apse door ho jayega.
Jinnat Ko Door Karne Ka Wazifa
Ye toh hua insaani pareshani ka hal, lekin kya ho jab aap ko jinn jaisi koi cheez pareshan kare. Aap kya karenge. Jinnat agar kisi ko takleef dene pe ajaye toh had darja pareshan karte hai. Wo aapko takleef dene ke liye har tarah ki koshish karenge. Chahe wo aapke ghar pe kabza karna ho, ya phir aapke shadi mein rukawat ya aapke kaam mein dikkat, wo kuch bhi kar sakte hai. Aise mein aapko unko bhi khud se door rakhna chahiye. Aap jinnat ko door karne ka wazifa parhe aur unse apna peecha churaye.
Aap har juma ko paak saaf hokar, Dohar ki namaz ke baad Durood Shareef parhe 11 martaba. Uske baad aap Surah Jinn parhe aur aakhir mein 11 martaba Durood Shareef phir se parhe. Aur Allah (Swt) se dua kare ki wo jinnat ko aapse door karde. Insha Allah, apko kamyabi hasil hogi.
Isi tarah se agar aapko koi shaitani asrat pareshan kar raha hai toh aap beshak uske liye wazifa hasil kare. Aap Islamic astrologer se baat kare aur apko jis tarah ki takleef ho rahi hai uska bayan kare. Insha Allah wo apki takleef ka sahi hal batayenge aur aapko is pareshani se jald se jald bahar nikalne mein madad karenge. Aap bilkul mayus na ho aur Allah ki zaat pe yakeen rakhe. Aapka kaam bahot jald ho jayega aur aapko in pareshaniyo se nijaat hasil hogi.