Duniya mein shayad hi aisa koi shaks hoga jiska koi dushman na hoga. Agar aap ek nihayati ache insaan hai, tab bhi log aapki sakhawat se jalte hai. Agar aap ka karobar acha chal raha hai toh log aapki tarakki se jalte hai. Agar aap ke ghar mein khushi hai toh log aapke paise se jalte hai. Kabhi kabhi insaan itne dushmano se ghir ke thak jata hai. Aise mein dushman ko harane ka wazifa aapke liye behtar kaam karega. Ye wazifa aapke sare dushmano ko aapke samne dhool chata dega aur aap ko kabhi koi hara nahi payega.
Dushman Ko Harane Ka Wazifa
Aapke dushman aapki zindagi mein bahot sari pareshaniyan khadi karte hai. Wo aapko kabhi sukoon se jeene nahi denge. Aise mein dushman ko jhukane ka amal, aapke liye behad asardar sabit hoga. Is amal ke zariye aap apne dushman ki harkato ko kabu kar sakte hai aur iske baad aapko unse darne ki bilkul bhi zaroorat nahi hai. Aapka dushman aapko kisi bhi tarah se nuksan nahi pahucha payega aur aap aur apke ghar wale humesha hifazat se rahenge.
Dushman Ko Jhukane Ki Dua
Dushman ko jhukane ki dua ye hai –
“Allah Humma Manzi Kitabi Mujriyas Shabi Saree Is Hisabi Hazimal Ahzabi Ihzim Hum”
Is dua ko aap har farz namaz ke baad kasrat se parhe. Jab aap ye dua parhenge toh apne aap apka dushman aapke samne chota padh jayega aur khud ba khud hi uski haar ho jayegi. Ye dua behad taqatwar aur asardar hai aur aapke dushman ko aapke samne tikne nahi degi.
Dushman Ko Harane Ka Amal
Aapko apne dushman ko kabhi kamzor nahi samajhna chahiye. Aisa bhi ho sakta hai ki aapka dushman aapki sari kamzoriya janta ho aur wo aapko usi jagah pe vaar kare. Iske liye zaroori hai ki aap apne hathyar pehle se tayyar rakhe. Jab aap dushman ko harane ka amal karte hai toh aapke dushman ka aapke samne koi jod nahi reh jata. Is amal ke zariye aapka dushman aapke samne ghutno pe hoga aur aapke dushman ko apne kiye pe pachtawa hoga. Is amal ki jankari aap Islamic astrologer se le aur unko poora majra bataye. Wo aapke liye aapke hisab se amal tayyar karke de denge.
Dushman Ko Harane Ka Taweez
Bilkul pareshan na ho, astrologer aapke liye sabse behtreen rohani ilaj batayenge jisse aapki sari pareshani khatam ho jayegi. Wo aapko bata denge ki ye amal kitne din mein asar dikhana shuru karega aur aapko iske liye kya kya karna hoga. Aap unse apne dushman ko harane ka taweez bhi le le. Taweez bhi behad asardar hota hai aur aapke dushman se aapko zindagi ke har mod pe bachayega.
Ye yaad rahe ki is duniya mein sirf aap nahi jo apne dushmano se din raat lad raha hai. Har koi kabhi na kabhi apni zindagi mein dushmano ka samna karta hai zaroori bas ye hai ki aap usko halal tarike se aur poori imandari se kare. Aap Allah (Swt) ki amaan mein rahe aur apne dushman ko Quranic wazifa aur amal ke zariye jhuka de. In sha Allah, Allah Talah aapki isme poori madad karenge.